WO chehra sath sath raha jo mila nahi. . . . . . . . Kis ko talash karte rahe kuch pata nahi . . . . . . . . . . . . . . . . SHidat ki dhoop tez hawaoon k
bawajood. . . . . . . . . . . . Mai Shakh se gira ho, nazar se gira nahi. . . . . . . . . . Akher ghazal ka taj mehal bhi hai maqbara. . . . . . . . Hum zindagi the hum ko kisi ne jiya nahi. . . . . . . . . . . . . . . . . . . Jis ki mukhalifat hui mashoor hogaya . . . . In patharon se koi parinda gira nahi . . . . . . . .Tareekion mai or chamakti hai dil ki dhoop. . . . . . . . . . . . . . Sooraj tamam raat yahan doobta nahi. . . Kis ne jalayen bastian,bazaar kyun
loote. . . . . . . . Mai Chand par gaya tha mujhey kuch pata nahi.
.
Tuesday, August 16, 2011
Friday, June 10, 2011
zaKhm ko phuul to sar sar ko sabaa kahate hain
zaKhm ko phuul to sar sar ko sabaa kahate hain
jaane kyaa daur hai kyaa log hain kyaa kahate hain
kyaa qayaamat hai ke jin ke liye ruk ruk ke chale
ab vahii log hamen aabalaapaa kahate hain
koii batalaao ke ik umr kaa bichhadaa mahabuub
ittefaaqan kahiin mil jaaye to kyaa kahate hain
ye bhii andaaz-e-suKhan hai ke jafaa ko terii
Gamzaa-o-ishvaa-o-andaaz-o-adaa kahate hain
jab talak duur hai tuu terii parastish kar len
ham jise chhuu na saken us ko Khudaa kahate hain
kyaa ta'ajjub hai ke ham ahl-e-tamannaa ko 'Faraaz'
vo jo maharuum-e-tamannaa hai.n buraa kahate hain
Monday, March 21, 2011
Haath uThe hain magar lab pe duaa koii nahiin
Haath uThe hain magar lab pe duaa koii nahiin
kii ibaadat bhii vo jis kii jazaa koii nahiin
ye bhii vaqt aanaa thaa ab to gosh har aavaaz hai
aur mere barbaad-e-dil men sadaa koii nahiin
aa ke ab tasliim kar len tuu nahiin to main sahii
kaun maanegaa ke ham men bevafaa koii nahiin
vaqt ne vo Khaak urraaii hai ke dil ke dasht se
qaafile guzare hain phir bhii naqsh-e-paa koii nahiin
Khud ko yuuN mahasuur kar baiThaa huuN apanii zaat men
manzilen chaaron taraf hai raastaa koii nahiin
kaise raaston se chale aur kis jagah pahuNche 'Faraz'
yaa hujuum-e-dostaaN thaa saath yaa koii nahiin

Friday, March 18, 2011
Dost ban kar bhii nahiin saath nibhaanevaalaa
Dost ban kar bhii nahiin saath nibhaanevaalaa
vahii andaaz hai zaalim kaa zamaanevaalaa
ab ise log samajhate hain giraftaar meraa
saKht nadiim hai mujhe daam men laanevaalaa
kyaa kahen kitane maraasim the hamaare is se
vo jo ik shaKhs hai muunh pher ke jaanevaalaa
tere hote hue aa jaatii thii saarii duniyaa
aaj tanhaa huuN to koii nahiin aanevaalaa
muntazir kis kaa huuN TuuTii huii dahaliiz pe main
kaun aayegaa yahaaN kaun hai aanevaalaa
main ne dekhaa hai bahaaron men chaman ko jalate
hai koii Khvaab kii taabiir bataanevaalaa
kyaa Khabar thii jo merii jaan men ghulaa hai itanaa
hai vahii mujh ko sar-e-daar bhii laane vaalaa
tum taqalluf ko bhii iKhalaas samajhate ho 'Faraz'
dost hotaa nahii.n har haath milaanevaalaa

Monday, February 14, 2011
Dukh fasaanaa nahiin ke tujh se kahen
Dukh fasaanaa nahiin ke tujh se kahen
Dil bhii maanaa nahiin ke tujh se kahen
Aj tak apanii bekalii kaa sabab
Kud bhii jaanaa nahiin ke tujh se kahen
E tuu harf_aashnaa thaa magar
A zamaanaa nahiin ke tujh se kahen
Be-tarah dil hai aur tujh se
Dostaanaa nahiin ke tujh se kahen
Ai Khudaa dard-e-dil hai baKhshish-e-dost
Aab-o-daanaa nahiin ke tujh se kahen

Kab kon kis ka hota hai....
Sub jhotay rishtay natay hai...
sub dil raknay ki baatain hai...
sub AsLi roop chupatay hai.....
Ikhlaas say khali log yahaan...
Lafzon kay teer chalatay hai...
Aik baar nigahon may aa kar..
Phir saari umar rulatay hai..
Chalo aaj jis nay dukh diya Faraz...
AAj us ko bhooool jatay hai......
Sub jhotay rishtay natay hai...
sub dil raknay ki baatain hai...
sub AsLi roop chupatay hai.....
Ikhlaas say khali log yahaan...
Lafzon kay teer chalatay hai...
Aik baar nigahon may aa kar..
Phir saari umar rulatay hai..
Chalo aaj jis nay dukh diya Faraz...
AAj us ko bhooool jatay hai......
Sunday, February 13, 2011
Jammal Ban kar MerI Aankh May Samatay ho....
Jammal Ban kar MerI Aankh May Samatay ho....
Khayal ban kar meray Dil ko Ghdghudatay ho...
Kamaal ban kar meri zIndaGi Banatay ho....
Wisaal ban kar meray Hoslay Barrhaty ho...
Sawaal ban kar KHayalon May sataty ho.....
Zawal ban kar PYAr ki IntaHa samjatay ho...
Khuda GAWAH hai mujay tum YAAAAd aatya ho...

Monday, February 7, 2011
tuu paas bhii ho to dil beqaraar apanaa hai
Tuu paas bhii ho to dil beqaraar apanaa hai
ke ham ko teraa nahiin intazaar apanaa hai
mile koii bhii teraa zikr chhed dete hain
ke jaise saaraa jahaan raazdaar apanaa hai
vo duur ho to bajaa tark-e-dostii kaa Khayaal
vo saamane ho to kab iKhtiyaar apanaa hai
zamaane bhar ke dukhon ko lagaa liyaa dil se
is aasare pe ke ik Gamgusaar apanaa hai
'Faraz' raahat-e-jaan bhii vahii hai kyaa kiije
vo jis ke haath se siinaa-fiGaar apanaa hai
Us ko judaa hue bhii zamaanaa bahut huaa
Ab kyaa kahen ye qissaa puraanaa bahut huaa
Dhalatii na thii kisii bhii jatan se shab-e-firaaq
Ai marg-e-naagahaan teraa aanaa bahut huaa
Ham Khuld se nikal to gaye hain par ai Khudaa
Itane se vaaqaye kaa fasaanaa bahut huaa
Ab ham hain aur saare zamaane kii dushmaanii
Us se zaraa rabt barrhaanaa bahut huaa
Ab kyon na zindagii pe muhabbat ko vaar den
Is aashiqii men jaan se jaanaa bahut huaa
Ab tak to dil ka dil se taarruf na ho sakaa
Maanaa ki us se milanaa milaanaa bahut huaa
Kyaa kyaa na ham Kharaab hue hain magar ye dil
Ai yaad-e-yaar teraa Thikaanaa bahut huaa
kahataa thaa naasehon se mere muunh na aaiio
Phir kyaa thaa ek huu kaa bahaanaa bahut huaa
Lo phir tere labon pe usii bevafaa kaa zikr
ahmad 'Faraz' tujh se kahaa naa bahut huaa

Wednesday, February 2, 2011
Kuchh na kisii se bolenge
Kuchh na kisii se bolenge
Tanhaaii men ro lenge
Ham berahabaron kaa kyaa
Saath kisii ke ho lenge
Khud to hue rusavaa lekin
Tere bhed na kholenge
Jiivan zahar bharaa saaGar
Kab tak amrit gholenge
Niind to kyaa aayegii 'Faraz'
Maut aaii to so lenge
Tanhaaii men ro lenge
Ham berahabaron kaa kyaa
Saath kisii ke ho lenge
Khud to hue rusavaa lekin
Tere bhed na kholenge
Jiivan zahar bharaa saaGar
Kab tak amrit gholenge
Niind to kyaa aayegii 'Faraz'
Maut aaii to so lenge
Friday, January 28, 2011
Barson ke baad dekha, Aik shakhs Dilruba saa
Barson ke baad dekha, Aik shakhs Dilruba saa
Ab zehen mein naheen hai , per naam tha bhala saa
Ubroo khichey khichey sey, Aankhain jhuki jhuki see
Baatein ruki ruki see , Lehja thaka thaka saa
Alfaaz thay ke Jugnoo, awaaz ke safar mein
Bun jaaey jungalon mein jaisey ke Raasta saa
Khawabon mein khawab Uss ke, Yaadon mein yaad uss ki
Neendon mein ghul gaya ho jaisey ke rat-jaga saa
Pehley bhi zindagi mein, kitney hee loug aaey
Woh her tarha sey lekin, auron sey tha juda saa
Agli muhabboton ne, woh na-muraadian deen
Taaza Rifaaqaton sey, Dil tha dara dara saa
Ab such kahein tou yaaro, Hum ko khaber naheen thi
Bun jaaey ga qayamat, Aik waaqaya zara saa
Taywer thay berukhi key, andaaz dosti ke
Woh ajnabi tha laikin, lagta tha Aashna saa
Humne B Usko Dekha Kal Shaam Ittefaqann
Apna B Haal Hai Ab LOgon FARAAZ Ka Saa....
GUMNAAAAAM!!!!

Wednesday, January 26, 2011
Aankh se duur na ho dil se utar jaayegaa
Aankh se duur na ho dil se utar jaayegaa
vaqt kaa kyaa hai guzarataa hai guzar jaayegaa
itanaa maanuus na ho Khilvat-e-Gam se apanii
tuu kabhii Khud ko bhii dekhegaa to dar jaayegaa
tum sar-e-raah-e-vafaa dekhate rah jaaoge
aur wo baam-e-rafaaqat se utar jaayegaa
zindagii terii ataa hai to ye jaanevaalaa
terii baKhshiish terii dahaliiz pe dhar jaayegaa
duubate duubate kashtii to ochhaalaa de don
main nahiin koii to saahil pe utar jaayegaa
zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat kaa 'Faraz'
zaalim ab ke bhii na royegaa to mar jaayegaa
Sunday, January 23, 2011
Ranjish hi sahi dil hi dukhaanay kay liyay aa
Ranjish hi sahi dil hi dukhaanay kay liyay aa
Aa phir say mujhay chhorr kay jaanay kay liyay aaPehlay say maraasim na sahi phir bhi kabhi to
Rasm-o-rahay duniya hi nibhaanay kay liyay aa
Ek umr say hun lazzat-e-giryaa se bhi mehruum
Aye raahat-e-jaan mujh ko rulaanay kay liyay aa
Ab tak dil-e-khush_feham ko tujh say hain ummeedain
Ye aakhari shammain bhi bujhaanay kay liyay aa
Saturday, January 22, 2011
jis simt bhii dekhuu.N nazar aataa hai ke tum ho
Jis simt bhii dekhuun nazar aataa hai ke tum ho
Ai jaan-e-jahaan ye koii tum saa hai ke tum ho
Ye Khvaab hai Khushbuu hai ke jhonkaa hai ke pal hai
Ye dhundh hai baadal hai ke saayaa hai ke tum ho
Is diid kii saaat men kaii rang hain larazaan
Main huun ke koii aur hai duniyaa hai ke tum ho
Dekho ye kisii aur kii aankhen hain ke merii
Dekhuun ye kisii aur kaa cheharaa hai ke tum ho
Ye umr-e-gurezaan kahiin Thahare to ye jaanuun
Har saans men mujh ko ye lagataa hai ke tum ho
Har bazm men mauzuu-e-suKhan dil zad_gaan kaa
Ab kaun hai shiiriin hai ke lailaa hai ke tum ho
Ik dard kaa phailaa huaa saharaa hai ke main huun
Ik mauj men aayaa huaa dariya hai ke tum ho
Vo vaqt na aaye ke dil-e-zaar bhii soche
Is shahar men tanhaa koii ham saa hai ke tum ho
Aabaad ham aashuftaa saron se nahiin maqtal
Ye rasm abhii shahar men zindaa hai ke tum ho
Ai jaan-e-'Faraz' itanii bhii taufiiq kise thii
Ham ko Gam-e-hastii bhii gavaaraa hai ke tum ho
Sunday, January 16, 2011
yuun sajaa chaand ki jhalakaa tere andaaz kaa rang
yuun sajaa chaand ki jhalakaa tere andaaz kaa rang
yuun fazaa mahakii ki badalaa mere hamaraaz kaa rang
saayaa-e-chashm men hairaan ruKh-e-raushan kaa jamaal
surKhii-e-lab pe pareshaan terii aavaaz kaa rang
bepiye hon ki agar lutf karo aaKhir-e-shab
shiishaa-e-may men Dhale subah ke aaGaaz kaa rang
changonay rang pe the apane lahuu ke dam se
dil ne lay badalii to madham huaa har saaz kaa rang
ik suKhan aur ki phir rang-e-takallum teraa
harf-e-saadaa ko inaayat kare ejaaz kaa rang
Saturday, January 15, 2011
Hospitalities exchanged, yet we who strangers stay(Faiz ahmad faiz)
Hospitalities exchanged, yet we who strangers stay
With how many encounters, shall amiability display?
After how many rains, shall the blood stains fade,
And when, in our sight, shall unspotted fields sway?
All that the heart desired, its breaking permitted not,
No grievance did those contained praises betray.
Merciless were moments, that witnessed the end of pain,
Benevolent nights brought in a cruel break of day.
That which, on your life, you determined to convey
Unspoken on your lips, Faiz, the decided words lay
Huii hai shaam to aankhon main bas gayaa phir tuu
Huii hai shaam to aankhon main bas gayaa phir tuu
Kahaan gayaa hai mere shahar ke musaafir tuu
Bahut udaas hai ik shaKhs tere jaane se
Jo ho sake to chalaa aa usii kii Khaatir tuu
Merii misaal ki ik naKhl-e-Khushk-e-saharaa hon
Teraa Khayaal ki shaaKh-e-chaman kaa taair tuu
Main jaanataa hon ke duniyaa tujhe badal degii
Main maanataa hon ke aisaa nahiin bazaahir tuu
Hansii Khushii se bichhar jaa agar bichharanaa hai
Ye har maqaam pe kyaa sochataa hai aaKhir tuu
'Faraz' tuune use mushkilon main daal diyaa
Zamaanaa saahib-e-zar aur sirf shaayar tuu
Friday, January 14, 2011
Hum parwarash-e-loh-o-qalam karte rahenge
Hum parwarash-e-loh-o-qalam karte rahenge
Jo dil pe guzarti hai raqam karte rahenge
Asbaab-e-gham-e-ishq baham karte rahenge
Viraani-e-dauraan pe karam karte rahenge
Haan talkhi-e-ayyaam abhi aur barhe gi
Haan ahl-e-sitam mashq-e-sitam karte rahenge
Manzur yeh talkhi yeh sitam hum ko gawaara
Dam hai to madaawa-e-alam karte rahenge
Maikhana salaamat hai to hum surkhi-e-mai se
Tazzain-e-dar-o-baam-e-haram karte rahenge
Baqi hai lahu dil mein to har ashk se paida
Rang-e-lab-o-rukhsar-e-sanam karte rahenge
Ek tarz-e-taghaaful hai so woh unko mubaarak
Ek arz-e-tamanna hai so hum karte rahenge

Donon jahaan teri mohabbat mein haar ke
Donon jahaan teri mohabbat mein haar ke
Woh jaa raha hai koi shab-e-gham guzaar ke
Viraan hai maikada khum-o-saaghar udaas hain
Tum kya gaye ke ruth gaye din bahaar ke
Ek fursat-e-gunah mili woh bhi chaar din
Dekhe hain hum ne hausle parwardigaar ke
Duniya ne teri yaad se begaana kar diya
Tujh se bhi dilfreb hain gham rozgaar ke
Bhule se muskra ke diye woh aaj Faiz
Mat puchh walwale dil-e-nakarda kaar ke
Thursday, January 13, 2011
Wo aye or chali b ghaye...
Raat boht ho chuki hai or may hasb-e-mamol apnay us saati kay baray may soch raha ho jis ki yaadon nay mujay aaj kaal dunya wo mafiha say bekhabar kar diya hai.. Wo har baar aanay ka wada kar kay chali jati hai or may har baar us kay waaday ko sach maan kar dhoka kha jata hon. Ore har baar dil may yaih kehta hun kay ayenda agar us nay aisa waisa koi waada kia bhe to may usay jaany nahi donga.. Magar jab wo samnay aati hai to meray dil say wo tamaam shikway shikayaat door ho jati hai jo us k na honay say meray dil may janam laitay hai... Us ki berukhi ka yai aalam hai kay sirf chand lamhon ka deedar kara kay rukhsat hojati hai or may apnay dil say pir kehta hon k is baar to dhoka dai gaye agli baar nahi khana magar hota wahi hai jo hona nahi chahiay....... hamaaaaara saaaat chorrrrr jana..... usay is be murawati ki saaza zaroor milni chahiay magar saza usay daiga kon?
Abhi may apnay mobile ki roshni may yai afsaaaaaaaana likh raha tha kay wo pir agaye .
......
....
......
....
.....
G haan wahi jis ka may shidat say intizar kar raha ta meri NAAZ O NAKHRAY wali MEHBOBA ,,,, BEJLI aa gaye ... Ghelay shikway sab dooor.....

koi khuda ho k patthar jise bhi ham chahen
ye kya k sab se bayan dil ki halaten karni
'Faraz' tujh ko na ain muhabbaten karani
ye qurb kya hai k tu samane hai aur hamain
shumar abhi se judai ki sa'aten karani
koi khuda ho k patthar jise bhi ham chahen
tamam umr usi ki ibadaten karni
sab apne apne qarine se muntazir us k
kisi ko shukr kisi ko shikayaten karani
ham apne dil se hain majabur aur logon ko
zara si bat pe barpa qayamaten karani
milen jab un se to mubaham si guftagu karna
phir apne ap se sau-sau vazahaten karani
ye log kaise magar dushmani nibhaten hain
hamin ko ras na ain muhabbaten karani
kabhi 'Faraz' naye mausamon main ro dena
kabhi talash purani raqabaten karani
Payam aye hain us yar-e-bevafa k mujhe
Payam aye hain us yar-e-bevafa k mujhe
Jise qarar na aya kahi bhula k mujhe
Nashe se kahun to nahin yad-e-yar ka alam
K la ura hai koi dosh par hava k mujhe
Judaiyan hon to aisi ki umr bhar na mile
Fareb to do zara silsile bara k mujhe
Main Khud ko bhul chuka tha magar jahan vale
Udas chor gaye aina dikha k mujhe
Qurbaton main bhi judai ke zamane mange
Qurbaton main bhi judai ke zamane mange
Dil wo bemehar ki rone ke bahane mange
Apana ye hal ke ji har chuke lut bhi chuke
Aur muhabbat vahi andaz purane mange
Ham na hote to kisi aur ke charche hote
Khalqat-e-shahar to kahane ko fasane mange
Dil kisi hal pe mane hi nahin jan-e-'Faraz'
Mil gaye tum bhi to kya aur na jane mange
Wednesday, January 12, 2011
Tuu paas bhi ho to dil beqaraar apanaa hai
Tuu paas bhi ho to dil beqaraar apanaa hai
Ke ham ko teraa nahin intazaar apanaa hai
Mile koi bhi teraa zikr cheer dete hain
ke jaise saaraa jahaan raazdaar apanaa hai
Wo duur ho to bajaa tark-e-dosti kaa khayaal
wo saamane ho to kab ikhtiyaar apanaa hai
Zamaane bhar ke dukhon ko lagaa liyaa dil se
Is aasare pe ke ik gamgusaar apanaa hai
‘Faraz’ raahat-e-jaan bhi vahi hai kyaa kije
Wo jis ke haath se sinaafigaar apanaa ha

Saturday, January 8, 2011
Hum jo toote to is tarah toote
Hum jo toote to is tarah toote
jaise hathon se girr k pathar par
koi shafaaf aaiina toote
jaise palkon se toot tha aansoo
jaise seene main ik kamaan toote
jaise umeed ki nazuk daali
barg mosam main na gahaan toote
jaise aankhon main khwab ki doori
waqt e takmeel se ulajh jaye
jaise pairon tale zameen nikle
jaise sar par yeh asmaan toote
jaise ik shaakh pe bharosa kia
is pe jitne thay aashiyaan toote
jaise wehshat se hosh aa jaye
jaise ta dair main dheyaan toote
ab jo raiza howay to sochte hain
kis nay dekha tha tootna apna
hum jo toote to raayegaan toote
Friday, January 7, 2011
Hamaare shauq kii ye intehaa thii
Hamaare shauq kii ye intehaa thii
Qadam rakhaa ke manzil raastaa thii
BichaR ke Daar se ban-ban phiraa vo
Hiran ko apnii kastuurii sazaa thii
Kabhii jo Khvaab thaa vo paa liyaa hai
Magar jo kho gayii vo chiiz kyaa thii
Main bachpan men khilaune tortaa thaa
Mere anjaam kii vo ibtidaa thii
Muhabbat mar gayii mujhko bhii Gham hai
Mere acche dinon kii aashnaa thii
Jise main chhuu luun vo ho jaaye sonaa
Tujhe dekhaa to jaanaa bad-du’aa thii
Mariiz-e-Khvaab ko to ab shafaa hai
Magar duniyaa baRii karvii davaa thii
Qadam rakhaa ke manzil raastaa thii
BichaR ke Daar se ban-ban phiraa vo
Hiran ko apnii kastuurii sazaa thii
Kabhii jo Khvaab thaa vo paa liyaa hai
Magar jo kho gayii vo chiiz kyaa thii
Main bachpan men khilaune tortaa thaa
Mere anjaam kii vo ibtidaa thii
Muhabbat mar gayii mujhko bhii Gham hai
Mere acche dinon kii aashnaa thii
Jise main chhuu luun vo ho jaaye sonaa
Tujhe dekhaa to jaanaa bad-du’aa thii
Mariiz-e-Khvaab ko to ab shafaa hai
Magar duniyaa baRii karvii davaa thii
Dono jahaan terii muhabbat meN haar ke
Dono jahaan terii muhabbat meN haar ke
Vo jaa rahaa hai koii shab-e-Gham guzaar ke
ViiraaN hai maikadaa Khum-o-saaGhar udaas hai
Tum kyaa gaye ke ruuTh gaye din bahaar ke
Ek fursat-e-gunaah milii, vo bhii chaar din
Dekhe haiN ham ne hausle parvar-digaar ke
Duniyaa ne terii yaad se begaanaa kar diyaa
Tujh se bhii dil-fareb haiN Gham rozgaar ke
Bhuule se muskuraa jo diye the vo aaj ‘Faiz’
Mat puuchh val-vale dil-e-naa-kardaakaar ke
Subscribe to:
Posts (Atom)