Barson ke baad dekha, Aik shakhs Dilruba saa
Ab zehen mein naheen hai , per naam tha bhala saa
Ubroo khichey khichey sey, Aankhain jhuki jhuki see
Baatein ruki ruki see , Lehja thaka thaka saa
Alfaaz thay ke Jugnoo, awaaz ke safar mein
Bun jaaey jungalon mein jaisey ke Raasta saa
Khawabon mein khawab Uss ke, Yaadon mein yaad uss ki
Neendon mein ghul gaya ho jaisey ke rat-jaga saa
Pehley bhi zindagi mein, kitney hee loug aaey
Woh her tarha sey lekin, auron sey tha juda saa
Agli muhabboton ne, woh na-muraadian deen
Taaza Rifaaqaton sey, Dil tha dara dara saa
Ab such kahein tou yaaro, Hum ko khaber naheen thi
Bun jaaey ga qayamat, Aik waaqaya zara saa
Taywer thay berukhi key, andaaz dosti ke
Woh ajnabi tha laikin, lagta tha Aashna saa
Humne B Usko Dekha Kal Shaam Ittefaqann
Apna B Haal Hai Ab LOgon FARAAZ Ka Saa....
GUMNAAAAAM!!!!
Friday, January 28, 2011
Wednesday, January 26, 2011
Aankh se duur na ho dil se utar jaayegaa
Aankh se duur na ho dil se utar jaayegaa
vaqt kaa kyaa hai guzarataa hai guzar jaayegaa
itanaa maanuus na ho Khilvat-e-Gam se apanii
tuu kabhii Khud ko bhii dekhegaa to dar jaayegaa
tum sar-e-raah-e-vafaa dekhate rah jaaoge
aur wo baam-e-rafaaqat se utar jaayegaa
zindagii terii ataa hai to ye jaanevaalaa
terii baKhshiish terii dahaliiz pe dhar jaayegaa
duubate duubate kashtii to ochhaalaa de don
main nahiin koii to saahil pe utar jaayegaa
zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat kaa 'Faraz'
zaalim ab ke bhii na royegaa to mar jaayegaa
Sunday, January 23, 2011
Ranjish hi sahi dil hi dukhaanay kay liyay aa
Ranjish hi sahi dil hi dukhaanay kay liyay aa
Aa phir say mujhay chhorr kay jaanay kay liyay aaPehlay say maraasim na sahi phir bhi kabhi to
Rasm-o-rahay duniya hi nibhaanay kay liyay aa
Ek umr say hun lazzat-e-giryaa se bhi mehruum
Aye raahat-e-jaan mujh ko rulaanay kay liyay aa
Ab tak dil-e-khush_feham ko tujh say hain ummeedain
Ye aakhari shammain bhi bujhaanay kay liyay aa
Saturday, January 22, 2011
jis simt bhii dekhuu.N nazar aataa hai ke tum ho
Jis simt bhii dekhuun nazar aataa hai ke tum ho
Ai jaan-e-jahaan ye koii tum saa hai ke tum ho
Ye Khvaab hai Khushbuu hai ke jhonkaa hai ke pal hai
Ye dhundh hai baadal hai ke saayaa hai ke tum ho
Is diid kii saaat men kaii rang hain larazaan
Main huun ke koii aur hai duniyaa hai ke tum ho
Dekho ye kisii aur kii aankhen hain ke merii
Dekhuun ye kisii aur kaa cheharaa hai ke tum ho
Ye umr-e-gurezaan kahiin Thahare to ye jaanuun
Har saans men mujh ko ye lagataa hai ke tum ho
Har bazm men mauzuu-e-suKhan dil zad_gaan kaa
Ab kaun hai shiiriin hai ke lailaa hai ke tum ho
Ik dard kaa phailaa huaa saharaa hai ke main huun
Ik mauj men aayaa huaa dariya hai ke tum ho
Vo vaqt na aaye ke dil-e-zaar bhii soche
Is shahar men tanhaa koii ham saa hai ke tum ho
Aabaad ham aashuftaa saron se nahiin maqtal
Ye rasm abhii shahar men zindaa hai ke tum ho
Ai jaan-e-'Faraz' itanii bhii taufiiq kise thii
Ham ko Gam-e-hastii bhii gavaaraa hai ke tum ho
Sunday, January 16, 2011
yuun sajaa chaand ki jhalakaa tere andaaz kaa rang
yuun sajaa chaand ki jhalakaa tere andaaz kaa rang
yuun fazaa mahakii ki badalaa mere hamaraaz kaa rang
saayaa-e-chashm men hairaan ruKh-e-raushan kaa jamaal
surKhii-e-lab pe pareshaan terii aavaaz kaa rang
bepiye hon ki agar lutf karo aaKhir-e-shab
shiishaa-e-may men Dhale subah ke aaGaaz kaa rang
changonay rang pe the apane lahuu ke dam se
dil ne lay badalii to madham huaa har saaz kaa rang
ik suKhan aur ki phir rang-e-takallum teraa
harf-e-saadaa ko inaayat kare ejaaz kaa rang
Saturday, January 15, 2011
Hospitalities exchanged, yet we who strangers stay(Faiz ahmad faiz)
Hospitalities exchanged, yet we who strangers stay
With how many encounters, shall amiability display?
After how many rains, shall the blood stains fade,
And when, in our sight, shall unspotted fields sway?
All that the heart desired, its breaking permitted not,
No grievance did those contained praises betray.
Merciless were moments, that witnessed the end of pain,
Benevolent nights brought in a cruel break of day.
That which, on your life, you determined to convey
Unspoken on your lips, Faiz, the decided words lay
Huii hai shaam to aankhon main bas gayaa phir tuu
Huii hai shaam to aankhon main bas gayaa phir tuu
Kahaan gayaa hai mere shahar ke musaafir tuu
Bahut udaas hai ik shaKhs tere jaane se
Jo ho sake to chalaa aa usii kii Khaatir tuu
Merii misaal ki ik naKhl-e-Khushk-e-saharaa hon
Teraa Khayaal ki shaaKh-e-chaman kaa taair tuu
Main jaanataa hon ke duniyaa tujhe badal degii
Main maanataa hon ke aisaa nahiin bazaahir tuu
Hansii Khushii se bichhar jaa agar bichharanaa hai
Ye har maqaam pe kyaa sochataa hai aaKhir tuu
'Faraz' tuune use mushkilon main daal diyaa
Zamaanaa saahib-e-zar aur sirf shaayar tuu
Friday, January 14, 2011
Hum parwarash-e-loh-o-qalam karte rahenge
Hum parwarash-e-loh-o-qalam karte rahenge
Jo dil pe guzarti hai raqam karte rahenge
Asbaab-e-gham-e-ishq baham karte rahenge
Viraani-e-dauraan pe karam karte rahenge
Haan talkhi-e-ayyaam abhi aur barhe gi
Haan ahl-e-sitam mashq-e-sitam karte rahenge
Manzur yeh talkhi yeh sitam hum ko gawaara
Dam hai to madaawa-e-alam karte rahenge
Maikhana salaamat hai to hum surkhi-e-mai se
Tazzain-e-dar-o-baam-e-haram karte rahenge
Baqi hai lahu dil mein to har ashk se paida
Rang-e-lab-o-rukhsar-e-sanam karte rahenge
Ek tarz-e-taghaaful hai so woh unko mubaarak
Ek arz-e-tamanna hai so hum karte rahenge
Jo dil pe guzarti hai raqam karte rahenge
Asbaab-e-gham-e-ishq baham karte rahenge
Viraani-e-dauraan pe karam karte rahenge
Haan talkhi-e-ayyaam abhi aur barhe gi
Haan ahl-e-sitam mashq-e-sitam karte rahenge
Manzur yeh talkhi yeh sitam hum ko gawaara
Dam hai to madaawa-e-alam karte rahenge
Maikhana salaamat hai to hum surkhi-e-mai se
Tazzain-e-dar-o-baam-e-haram karte rahenge
Baqi hai lahu dil mein to har ashk se paida
Rang-e-lab-o-rukhsar-e-sanam karte rahenge
Ek tarz-e-taghaaful hai so woh unko mubaarak
Ek arz-e-tamanna hai so hum karte rahenge
Donon jahaan teri mohabbat mein haar ke
Donon jahaan teri mohabbat mein haar ke
Woh jaa raha hai koi shab-e-gham guzaar ke
Viraan hai maikada khum-o-saaghar udaas hain
Tum kya gaye ke ruth gaye din bahaar ke
Ek fursat-e-gunah mili woh bhi chaar din
Dekhe hain hum ne hausle parwardigaar ke
Duniya ne teri yaad se begaana kar diya
Tujh se bhi dilfreb hain gham rozgaar ke
Bhule se muskra ke diye woh aaj Faiz
Mat puchh walwale dil-e-nakarda kaar ke
Thursday, January 13, 2011
Wo aye or chali b ghaye...
Raat boht ho chuki hai or may hasb-e-mamol apnay us saati kay baray may soch raha ho jis ki yaadon nay mujay aaj kaal dunya wo mafiha say bekhabar kar diya hai.. Wo har baar aanay ka wada kar kay chali jati hai or may har baar us kay waaday ko sach maan kar dhoka kha jata hon. Ore har baar dil may yaih kehta hun kay ayenda agar us nay aisa waisa koi waada kia bhe to may usay jaany nahi donga.. Magar jab wo samnay aati hai to meray dil say wo tamaam shikway shikayaat door ho jati hai jo us k na honay say meray dil may janam laitay hai... Us ki berukhi ka yai aalam hai kay sirf chand lamhon ka deedar kara kay rukhsat hojati hai or may apnay dil say pir kehta hon k is baar to dhoka dai gaye agli baar nahi khana magar hota wahi hai jo hona nahi chahiay....... hamaaaaara saaaat chorrrrr jana..... usay is be murawati ki saaza zaroor milni chahiay magar saza usay daiga kon?
Abhi may apnay mobile ki roshni may yai afsaaaaaaaana likh raha tha kay wo pir agaye .
......
....
......
....
.....
G haan wahi jis ka may shidat say intizar kar raha ta meri NAAZ O NAKHRAY wali MEHBOBA ,,,, BEJLI aa gaye ... Ghelay shikway sab dooor.....
Abhi may apnay mobile ki roshni may yai afsaaaaaaaana likh raha tha kay wo pir agaye .
......
....
......
....
.....
G haan wahi jis ka may shidat say intizar kar raha ta meri NAAZ O NAKHRAY wali MEHBOBA ,,,, BEJLI aa gaye ... Ghelay shikway sab dooor.....
koi khuda ho k patthar jise bhi ham chahen
ye kya k sab se bayan dil ki halaten karni
'Faraz' tujh ko na ain muhabbaten karani
ye qurb kya hai k tu samane hai aur hamain
shumar abhi se judai ki sa'aten karani
koi khuda ho k patthar jise bhi ham chahen
tamam umr usi ki ibadaten karni
sab apne apne qarine se muntazir us k
kisi ko shukr kisi ko shikayaten karani
ham apne dil se hain majabur aur logon ko
zara si bat pe barpa qayamaten karani
milen jab un se to mubaham si guftagu karna
phir apne ap se sau-sau vazahaten karani
ye log kaise magar dushmani nibhaten hain
hamin ko ras na ain muhabbaten karani
kabhi 'Faraz' naye mausamon main ro dena
kabhi talash purani raqabaten karani
Payam aye hain us yar-e-bevafa k mujhe
Payam aye hain us yar-e-bevafa k mujhe
Jise qarar na aya kahi bhula k mujhe
Nashe se kahun to nahin yad-e-yar ka alam
K la ura hai koi dosh par hava k mujhe
Judaiyan hon to aisi ki umr bhar na mile
Fareb to do zara silsile bara k mujhe
Main Khud ko bhul chuka tha magar jahan vale
Udas chor gaye aina dikha k mujhe
Qurbaton main bhi judai ke zamane mange
Qurbaton main bhi judai ke zamane mange
Dil wo bemehar ki rone ke bahane mange
Apana ye hal ke ji har chuke lut bhi chuke
Aur muhabbat vahi andaz purane mange
Ham na hote to kisi aur ke charche hote
Khalqat-e-shahar to kahane ko fasane mange
Dil kisi hal pe mane hi nahin jan-e-'Faraz'
Mil gaye tum bhi to kya aur na jane mange
Wednesday, January 12, 2011
Tuu paas bhi ho to dil beqaraar apanaa hai
Tuu paas bhi ho to dil beqaraar apanaa hai
Ke ham ko teraa nahin intazaar apanaa hai
Mile koi bhi teraa zikr cheer dete hain
ke jaise saaraa jahaan raazdaar apanaa hai
Wo duur ho to bajaa tark-e-dosti kaa khayaal
wo saamane ho to kab ikhtiyaar apanaa hai
Zamaane bhar ke dukhon ko lagaa liyaa dil se
Is aasare pe ke ik gamgusaar apanaa hai
‘Faraz’ raahat-e-jaan bhi vahi hai kyaa kije
Wo jis ke haath se sinaafigaar apanaa ha
Ke ham ko teraa nahin intazaar apanaa hai
Mile koi bhi teraa zikr cheer dete hain
ke jaise saaraa jahaan raazdaar apanaa hai
Wo duur ho to bajaa tark-e-dosti kaa khayaal
wo saamane ho to kab ikhtiyaar apanaa hai
Zamaane bhar ke dukhon ko lagaa liyaa dil se
Is aasare pe ke ik gamgusaar apanaa hai
‘Faraz’ raahat-e-jaan bhi vahi hai kyaa kije
Wo jis ke haath se sinaafigaar apanaa ha
Saturday, January 8, 2011
Hum jo toote to is tarah toote
Hum jo toote to is tarah toote
jaise hathon se girr k pathar par
koi shafaaf aaiina toote
jaise palkon se toot tha aansoo
jaise seene main ik kamaan toote
jaise umeed ki nazuk daali
barg mosam main na gahaan toote
jaise aankhon main khwab ki doori
waqt e takmeel se ulajh jaye
jaise pairon tale zameen nikle
jaise sar par yeh asmaan toote
jaise ik shaakh pe bharosa kia
is pe jitne thay aashiyaan toote
jaise wehshat se hosh aa jaye
jaise ta dair main dheyaan toote
ab jo raiza howay to sochte hain
kis nay dekha tha tootna apna
hum jo toote to raayegaan toote
Friday, January 7, 2011
Hamaare shauq kii ye intehaa thii
Hamaare shauq kii ye intehaa thii
Qadam rakhaa ke manzil raastaa thii
BichaR ke Daar se ban-ban phiraa vo
Hiran ko apnii kastuurii sazaa thii
Kabhii jo Khvaab thaa vo paa liyaa hai
Magar jo kho gayii vo chiiz kyaa thii
Main bachpan men khilaune tortaa thaa
Mere anjaam kii vo ibtidaa thii
Muhabbat mar gayii mujhko bhii Gham hai
Mere acche dinon kii aashnaa thii
Jise main chhuu luun vo ho jaaye sonaa
Tujhe dekhaa to jaanaa bad-du’aa thii
Mariiz-e-Khvaab ko to ab shafaa hai
Magar duniyaa baRii karvii davaa thii
Qadam rakhaa ke manzil raastaa thii
BichaR ke Daar se ban-ban phiraa vo
Hiran ko apnii kastuurii sazaa thii
Kabhii jo Khvaab thaa vo paa liyaa hai
Magar jo kho gayii vo chiiz kyaa thii
Main bachpan men khilaune tortaa thaa
Mere anjaam kii vo ibtidaa thii
Muhabbat mar gayii mujhko bhii Gham hai
Mere acche dinon kii aashnaa thii
Jise main chhuu luun vo ho jaaye sonaa
Tujhe dekhaa to jaanaa bad-du’aa thii
Mariiz-e-Khvaab ko to ab shafaa hai
Magar duniyaa baRii karvii davaa thii
Dono jahaan terii muhabbat meN haar ke
Dono jahaan terii muhabbat meN haar ke
Vo jaa rahaa hai koii shab-e-Gham guzaar ke
ViiraaN hai maikadaa Khum-o-saaGhar udaas hai
Tum kyaa gaye ke ruuTh gaye din bahaar ke
Ek fursat-e-gunaah milii, vo bhii chaar din
Dekhe haiN ham ne hausle parvar-digaar ke
Duniyaa ne terii yaad se begaanaa kar diyaa
Tujh se bhii dil-fareb haiN Gham rozgaar ke
Bhuule se muskuraa jo diye the vo aaj ‘Faiz’
Mat puuchh val-vale dil-e-naa-kardaakaar ke
Subscribe to:
Posts (Atom)