Pages

Friday, June 10, 2011

zaKhm ko phuul to sar sar ko sabaa kahate hain

zaKhm ko phuul to sar sar ko sabaa kahate hain 
jaane kyaa daur hai kyaa log hain kyaa kahate hain 

kyaa qayaamat hai ke jin ke liye ruk ruk ke chale 
ab vahii log hamen aabalaapaa kahate hain 

koii batalaao ke ik umr kaa bichhadaa mahabuub 
ittefaaqan kahiin mil jaaye to kyaa kahate hain 

ye bhii andaaz-e-suKhan hai ke jafaa ko terii 
Gamzaa-o-ishvaa-o-andaaz-o-adaa kahate hain 

jab talak duur hai tuu terii parastish kar len 
ham jise chhuu na saken us ko Khudaa kahate hain 

kyaa ta'ajjub hai ke ham ahl-e-tamannaa ko 'Faraaz' 
vo jo maharuum-e-tamannaa hai.n buraa kahate hain